Thursday 12 December 2019

Six Hindu Poets on Imam Hussain


“Toofan barpa hai garm haii maiidan-e-Karzaar
haii qatil.o me mahve fugha.n ek shahsawar
ibleesiyat iidhar haii, udhar insaan ka waqar
tanha Hussain or yaziidi kaii hazaar
aii gardish-e-zamaana thahar zaraa yahi.n
aiisi misal phir na milegi tujhe kahiin”

 Prof. Jagannath Azad


“Karbala me ek bahana tha Hussain ibn Ali
lene waale ne liya thaa imtahan-e-Mustafa”

 Ram Bihari Lal 'Saba"



“Baad marne ke bhii matam kii sada aati rahii
log hairat se meri chitaa ko dekha kiye”

 Chandra Shekhar Saxena.


“Khuld uskii haii, khayba.n uska, Kausar us ka haii
Jis ko ulfat haii Vilayat aal-e-Payamber ke saath”

Gauhar Prasad Nigam "Vilayat" Gorakhpuri.


“Nazar aa jatii haii bazm-e-azaa se rah jannat kii
Shaheed-e-Karbala ke gham me jab rokar nikalte hain”

Munshi Lakhman Narayan "Sakha"


“Ab na samjhna mujhe sab ne wali likkha haii
mere maathe par Hussain Ibn Ali likkha haii”

Mahendra Kumar "Ashq"
Source: Collected from Internet

No comments:

Post a Comment